(MUTFARRIQ SHAYRI)
dhoondhta phirta hoon aey iqbal apne aap ko
khud hi goya manzil khud hi musafir hoon main
(ALLAMA IQBAL)
"HAMD"
Tairi rehmaton se hoon bekhabar ye mairi nazar ka qasoor hay
tairi rah guzr may qadam qadam kahi arsh hay kahi toor hay
ye bja hay maalik_e_dojahan mairibandagi may qasoor hay
ye khata hay mairi kahta magar taira naam bhi to ghafoor hay
ye bta tuj se miloon kaha muje tuj se milna zaroor hay
kahi dil ki shart na daalna maira dil gunhaon se choor hay
tu bakhsh de maire sab gunah tairi zaat ghafoor_o_raheem hay
"AEY UMR_E_RAWAN"
Aey umar_e_rawan aahista chal
abhi khasa qarz chukana hay
kuch khawab hain jinko likhna hay
kuch taabeeron ko paana hay
kuch log hain ujray dil waaley
un sab may pyaar basana hay
aur khaza raseeda aangan may
abhi aman ka beej lagana hay
kuch tauba karni baqi hay
aur rab ko hamain manana hay
aey umar_e_rawan aahista chal
abhi khasa qarz chukana hay
abhi khasa qarz chukana hay
kuch khawab hain jinko likhna hay
kuch taabeeron ko paana hay
kuch log hain ujray dil waaley
un sab may pyaar basana hay
aur khaza raseeda aangan may
abhi aman ka beej lagana hay
kuch tauba karni baqi hay
aur rab ko hamain manana hay
aey umar_e_rawan aahista chal
abhi khasa qarz chukana hay
"Dareeche se jhankti larki"
dareeche se jhankti wo larki ajeeb dukh se bhari hui hay
k us k aangan may phool par aik neeli titly mari hui hay
kabhi azanon may khoi khoi kabhi nimazon may royi royi
wo aise dunya ko daikhti hay jaise is se dari hui hay
darood se mehki mehki saansain wazifa parhti hui wo aankhain
k ik shamma_e_umeed in may kayi baras se dhari hui hay
bare zamanon k baad barsi hain mairi aankhain kisi ki khatir
bare zamanon k baad dil ki zameen phir se hari hui hay

"AUr chup hua mouzzin azan kehte khety"
Goongi Ho Gai Zaban Aaj Kuch Kehte Kehte
Hich-Kicha Gaya Me Khud Ko Musalman Kehte Kehte
Ye Baat Nahi Ke Mujh Ko Us Par Yaqeen Nahi
Bas Dar Gaya Khud Ko Sahib E Iman Kehte Kehte
Tofeeq Na Hui Mujhey Ek Waqt Ki Namaz Ki
Aur Chup Hua Moazzin Azaan Kehte Kehte
Kisi Kaafir Ne Jo Poocha Ke Ye Kiya Hai Mahina
Sharam Se Pani Hua Main Ramzan Kehte Kehte
Mere Shelf Me Gard Se Atki Kitaab Ka Jo Poocha
Me Gad Gaya Zameen Me Quraan Kehte Kehte
Ye Sun Ke Chup Saadh Li Iqbal Us Ne
Youn Laga Jese Ruk Gaya Ho Mujhay Hewaan Kehte Kehte ....

No comments:
Post a Comment